Sunday, November 12, 2017

Sandhya

Jeena to us din sikha jb mrne ka ahsaas hua!
Uski ahamiyat tb pta chali, jab khokar fir kabhi bhi na pa sake,
Sahare ki zarurat mahsoos hui, jb akelepan se samna hua,
Tb pta chala ki akele zindagi jeena nahi h itna aasan,
Khud ko bahut buland krna hoga, akele jeene ke liye,
Ek ek saans, ek ek pal keemati h
Na jane kb upar se bulaava aa jae,
Mahsoos kiya mene,
Aisa lga tha mujhe ki mujhe bulaya h upar,
Lekin nahi, mujhe ek mauka mila h

Mujhe to jese nayi zindagi mil gai h,
Aisa lagta h bahut mehnat krke pai h,
Aur ab fir se nahi khona chahti, jitni mehnat krke paya h utna hi khayal bhi rakhna h.

1 comment:

Mamta Tripathi said...

जीवन का कटु सत्य जिसे जीकर ही जानते हैं।